Pages

Tuesday, April 30, 2019

©Raghuvanshi0040_From my Pen 5

Tumhe jab kadra hi nahi unke jazbat ki to meri kadra hi kyon-kar ho paegi!!
Tumhe jab parwah hi nahi Apne samman ki to unke ya mere samman ki parwah kyon-kar  ho payegi!!

Bahut umda waqt chal raha hai lage yun ki nayi akankshaon ke pankho par ude ja rahe hon!!
Maza jine ka tabhi hai ki apne bade bhi apni jaden bhi, umda Waqt ke pankhon par sath ude ja rahe hon!!

Ye mera daur wo tera daur mana tha kabhi unka bhi daur,
sirf sochoon apni apni to kisi ki bhi kadra hi kyon-kar ho paegi!!
Is mera daur unke daur ki daud mei rishton ki mithas antrangta  kyon-kar ho payegi!!

Tumhe jab kadra hi nahi unke jazbat ki to meri kadra hi kyon-kar ho paegi!!... राजा-रघु

No comments:

Post a Comment

Connect with the Authors for any discussion on Energy Environment Interactions